Bharat Swabhiman Poem

Gita ki kasam tumhe, tumhe kasam Quran ki,
Bible ki hai kasam, tumhe kasam imaan ki.

Desh ki pukaar hai, pukaar hai samaaj ki.
Rashtra dharam ban gayi hai ekta hi aaj ki
Desh ki samridhi mein lagaa do baaji jaan ki.

Desh, bhasha, jatiyon ke beech na vivaad ho,
Har hridya vishaal ho ek samvidhan ho,
Aa gayi kathin ghadi parakh tere imaan ki.

Daav, pecho ne hamare dharam ko jakad liya,
Mook dharam, ho vivash tadap raha bilakh raha
Hato nahi svadharam se kasam tere jabaan ki.

- A poem by Sadashiv Pandey, excerpted from Yog Sandesh magazine, June Issue

Popularity: 4% [?]

Related posts on Bharat Swabhiman

  • No Related Post

7 Comments

  1. Alok Singh says:

    Jai Sri Ram
    Bharat Swabhiman yatra desh ko jagane wali yatra hai. Es yatra se desh me kranti aa rahi hai aur yeh pura desh apne khoye swabhiman ko pane ke liye Baba ke sath hai.
    Jai Hind
    Jai sri Ram

  2. Purushottam Jha says:

    Om baba,
    mere layak bhi kuch kam ho to bataiyega
    meri bhi bahut iccha hai des ko saf suthar aur dharmnisth hona hi chahiye.apke sath sath ladne ko taiyaar hain bus mauka chahiye.
    main to akele hi lad raha tha,apki kripa samaj ke upar 93 se dekh raha hoon. mujhe poor viswas hai hum kamyaab honge.
    pranam.

  3. shrilaxmi says:

    om,
    bahot hi achcha likha hai aur kavya pankti ka to jawab hi nahi hai,
    bahot khub.
    isime anekta me ekta ka pratik ho jata hai,
    jai bharat

  4. Dr. Ashish singla says:

    Badi achi kavita hai …….
    Thanx to writer…..

  5. Vastav men mere dil ki bat ko kavi ne bhasha de di. dhanyavad.

  6. alpesh haribhai ghodasara says:

    om,
    kya kavya hai banayi apne,
    bahot samajata hai samne
    bahot kuch sikha hai hamne
    accha accha jana hai sabne
    vah,
    kya kavya hai banayi apne,

    BHARAT MATA KI JAY

  7. alpesh haribhai ghodasara says:

    om,
    kya kavya hai banayi apne,
    bahot samajata hai samne
    bahot kuch sikha hai hamne
    accha accha jana hai sabne
    vah,
    kya kavya hai banayi apne,

    BHARAT MATA KI JAY

Leave a Reply

  Type Comments in Indian languages (Press Ctrl+g to toggle between English and Hindi OR just Click on the letter)